Saturday, December 20, 2008

Baar Baar

Barson ho gaye raakh bane huwe ,
Par dhuwa uthta baar baar hai.

Zamana ho gaya zakhm lage huwe,
kyun yeh rista baar baar hai.

Mohobat dard ban kar reh gaye,
Ashqon ka sailaab tutta baar baar hai.

Jeetne ki koshish karte hai hamesha,
Par mukaddar harta baar baar hai.

Koi sahil pe pahuche bhi kaise,
Yahan tufan gujarta baar baar hai.

Har lamha badalti hai fitrat jinki,
Unse dil darta baar baar hai .

No comments: