Woh beeti huyi shaam apne saath yaadon ko bhi le gayi,
Woh aansuon main bheegi huyi ek dastaan bhi thi keh gayi.
Bayaan karti hoon apne lafzon main zazbaaton kii ek kahaani,
Pariyon si ek ladki kii ek dard bhari kahaani.
Yeh dastaan thi ek masoom pari kii jispe pyaar ka saaya tha,
Jo toot gayi thi tabse jabse kissii ne oose thukraaya tha.
Khamosh ho chuke labon par ek sannaata chha jata tha,
Ashqon se bheege huye chehre se jab zulfon ko koi hatata tha.
Muskuraati thi woh hardam harpal woh muskati thi,
Main poochhti thi dard uska, woh nagme gungunati thi.
Jab bheeg jati thi palkein kissii ko yaad karke,
Dekhti thi meri taraf dil k tukde char karke.
Main thaamna jo chahti kabhi who door hat jaati thi,
Mujhse apni dooriyon ka ehsaas bhi dikhati thi.
Bebas thi woh dil k haathon aur is zamaane se anjaan thi,
Nafrat bhi kaise karti woh ,oose sirf pyaar kii pehchaan thi.
Maine chhoda oose kucch waqt akele uski tanhayee main,
Dil ne roka mujhe bahut par chal diya de kar oose judaaii main.
Jab lauti main vaapas woh jaa chuki lambi door thi,
tab jaake ehsaas hua mujhe ke dekhi maine apni parchayi thi.
Friday, November 21, 2008
Subscribe to:
Posts (Atom)
