Saturday, December 20, 2008

Humsafar chahiye

Na jameen, na sitare, na chaand, na raatein chahiye,
dil mein mere basne wala kisi dost ka pyaar chahiye.

Na dua, na khuda, na haathon mein koi talwar chahiye,
musibat mein kisi ek pyaare saathi ke haathon ka haath chahiye.

Kahun na main kuch, samaj jaye woh sab kuch,
dil mein uske, apne liye aisi jagah chahiye.

us dost ke chot lagane per hum bhi do aansoo bahane ka haq rakhein,
aur humare un aansoonwon ko pochne wala usi ka rumal chahiye.

main toh taiyaar hon har tufan ka , teherkar paar karne ke liye,
bas saahil per intazar karta hua ek sachcha dildar chahiye.

ulaj si jaati hai zindagi ki kashti duniya ki cheez majdar mein,
is bhavre se paar uthatne ke liye kisi ke naam ki pathwar chahiye.

akele koi bni safar kaatna muchkil ho jaata hai,
mujhe bhi is lambe raste per ek achcha humsafar chahiye.